Dil Ki Mehfil
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Dil Ki Mehfil

Dil Ki Mehfil - Online Shayari
 
HomeHome  SearchSearch  Latest imagesLatest images  RegisterRegister  Log inLog in  

 

 Mirza Ghalib - Shayari - --- -----

Go down 
+3
Umeed
Innocent_Pari
Admin
7 posters
AuthorMessage
Admin
Admin
Admin



Number of posts : 17
Age : 34
Registration date : 2008-09-12

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSun Sep 14, 2008 7:39 pm

Mirza Ghalib - Shayari - --- -----
Back to top Go down
http://www.dilkimehfil.com
Admin
Admin
Admin



Number of posts : 17
Age : 34
Registration date : 2008-09-12

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeWed Sep 17, 2008 9:42 am

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Mirza_Ghalib


Aaiinaa kyuuN na duuN ke tamaashaa kaheIn jise


aaiinaa kyuu.N na duu.N ke tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.N se laauu.N ke tujhasaa kahe.n jise

hasarat ne laa rakhaa terii bazm-e-Khayaal me.n
guladastaa-e-nigaah suvedaa kahe.n jise

phuu.Nkaa hai kisane goshe muhabbat me.n ai Khudaa
afasuun-e-intazaar tamannaa kahe.n jise

sar par hujuum-e-dard-e-Gariibii se Daliye
vo ek musht-e-Khaak ke saharaa kahe.n jise

hai chashm-e-tar me.n hasarat-e-diidaar se nihaa.N
shauq-e-inaa.N guseKhtaa dariyaa kahe.n jise

darakaar hai shiguftan-e-gul haaye aish ko
sub_h-e-bahaar pa.nbaa-e-miinaa kahe.n jise

"Ghalib" buraa na maan jo vaaiz buraa kahe
aisaa bhii koii hai ke sab achchhaa kahe.n jise



rose3

rose2
Back to top Go down
http://www.dilkimehfil.com
Innocent_Pari

Innocent_Pari


Number of posts : 131
Registration date : 2008-09-13

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Sep 27, 2008 3:14 am

zabardast zabardast
Back to top Go down
http://www.Qasrab.com
Umeed

Umeed


Number of posts : 302
Location : Tere Bina Kya Jeena
Registration date : 2008-09-15

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Oct 11, 2008 4:10 am

Very Nice

zabardast
Back to top Go down
adnan

adnan


Number of posts : 77
Registration date : 2008-10-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeTue Oct 14, 2008 9:48 am

niceji
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeFri Oct 31, 2008 4:43 pm

niceji

rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:43 am


Aa, ki meree jaan ko qaraar naheen hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheen hai


[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]

dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummar naheen hai

[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
KHummaar = intoxication ]

giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]

hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

[ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness,
KHaak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, GHubaar = clouds of dust ]

dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

[ ma'anee = meanings, GHair-e-gul = blossoms ]

qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

[ 'ahad = promise, baare = at last, ustuwaar = frim/determined ]

toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !

[ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ]

rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:45 am


Aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak
kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg
dekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak

[ daam = net/trap, mauj = wave, halqa = ring/circle, sad = hundred,
nahaNg = crocadile, sad_kaam-e-nahaNg = crocadile with a hundred
jaws, guhar = pearl ]

aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?

[ sabr = patience, talab = search ]

ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak

[ taGHaful = neglect/ignore ]

partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak

[ partav-e-khur = sun's reflection/light/image, shabnam = dew,
fana'a = mortality, inaayat = favour ]

yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak

[ besh = too much/lots, fursat-e-hastee = duration of life,
GHaafil = careless, raqs = dance, sharar = flash/fire ]

GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak

[ hastee = life/existence, juz = other than, marg = death,
sahar = morning ]


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:47 am


Jis bazm mein tu naaz say guftaar mein aaway,
Jan kaalbud-e-Soorat deewar mein aaway...

Saye key tarhe sath phiren hain sarv-o-Sanobar,
Tu is qad dilkash say jo gulzaar mein aaway...

Tay naaz-e-Girann mayegi-e-Ashk bja hai,
Jab lakht-e-Jigar deeda-e-Khunbaar mein aaway...

Day mujhko shikayat key ijazat k sitamgar!
Kuchh tukh ko bhi mazaa mere aazar mein aaway...

Us chashm-e-Fusoon-Gar ka agar paye ishara,
Tooti k tarhe aaina guftaar mein aaway...

Kaanton key zaban sookh gayi pyas say Ya Rab!
Ik aabla-paa wadi-e-Purkhaar mein aaway...

Mar jaun na kyun rashk say jab woh tan-e-Naazuk,
Aaghosh-e-Kham-e-Halqa-e-Zunnaar mein aaway...

Ghaarat gar-e-Namoos na ho gar hawwas-e-Zar,
Kyun shahid-e-Gul baagh say bazaar mein aaway...

Tub chaak-e-Girebann ka maza hai dil-e-Nallann,
Jab ik nafas uljha hua her taar mein aaway...

Aatishkadah hai seena mera raaz-e-Nihann say,
Day waye, agar maariz-e-Izhaar mein aaway...

Ganjeena-e-Ma'ani ka tilism usko samjhiyeh,
Jo lafz k Ghalib! mere ashaar mein aaway...!

rose2

Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:49 am


Koye Omeed bar Nahin Aate
Koye Sorat Nazar Nahin Aate

Mout Ka Ek Din Moheyn Hay
Neend Keyon Raat Bar Nahin Aate

Aagay Aate The Hal_e Dil Pay Hansi
Ab Kise Baat Pay Nahin Aate

Janta Hon Sawab Tahat_o zahid
Par Tabeyat Edar Nahin Aate

Keyon Na cheykhon K yaad kartay Hain
Mayre Awaz Gar Nahin Aate

Ham Wahan Hain Jahan Say Ham Ko b
Kuch Hamare Khabar nahin Aate

Martay Hain Arzo Main Marnay Ke
Mout Aate Hay Par Nahin Aate

Kahbay Kis Monh Say Jao Gay GHALIB
Sharam Tum Ko Magar Nahin Aate


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:52 am


tuu dost kisii kaa bhii sitam_gar na hu_aa thaa
auro.n pe hai vo zulm ki mujh par na hu_aa thaa

chhoraa mah-e-naKhshab kii tarah dast-e-qazaa ne
Khurshiid hanoz us ke baraabar na hu_aa thaa

taufiiq ba andaaz-e-himmat hai azal se
aa.Nkho.n me.n hai vo qataraa ki gauhar na hu_aa thaa

jab tak kii na dekhaa thaa qad-e-yaar kaa aalam
mai.n motaqid-e-fitanaa-e-mahashar na hu_aa thaa

mai.n saadaa dil aazurdagi-e-yaar se Khush huu.N
yaanii sabaq-e-shauq mukarrar na hu_aa thaa

dariyaa-e-ma_aasii tunuk abhii se hu_aa Khushk
meraa sar-e-daaman bhii abhii tar na hu_aa thaa

jaarii thii asad daaG-e-jigar se mere tahasiil
aatash_qadaa jaagiir-e-samandar na hu_aa thaa


rose2
Back to top Go down
Rabia

Rabia


Number of posts : 2152
Age : 35
Location : Jahan Bee Rehoun Bass Apke Dil Main Rahoun
Registration date : 2008-10-22

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:58 am

niceji

rose3
Back to top Go down
http://www.QasRab.com
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 9:45 am

thanks

rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 9:48 am


'Arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha


[ niyaaz = desire/an offering ]

jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha

[ hastee = life/existence, shamma'a_kushta = extinguished lamp,
darKHur = worthy ]

marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa

[ tadabeer = solution/remedy, shaayaan = worthy, dast = hand,
baazoo = shoulder ]

bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai
yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa

[ bararoo = in front, shash = six, jihat = direction,
imtiaz = distinction, naakis = cunning, qaamil = intelligent ]

waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn
GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha

[ waa = open, GHair_az = other than, haayal = obstacle ]

go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha

[ sitam = oppression, GHaafil = unaware/careless ]

dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha

bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

[ bedaad = injustice ]


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 9:50 am


Bazecha-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage
[ baazeechaa = play/sport, atfaal = children ]

ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

[ auraNg = throne, 'eijaz = miracle ]

juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

[ juz = other than, aalam = world, hastee = existence,
ashiya = things/items ]

hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

[ nihaaN = hidden, gard = dust, sehara = desert, jabeeN = forehead ]

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

[ KHudbeen = proud/arrogant, KHud_aaraa = self adorer,
but = beloved, aainaa_seemaa = like the face of a mirror ]

fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

[ gul_afshaanee = to scatter flowers, guftaar = speech/discourse,
sahaba = wine, esp. red wine ]

nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

[ gumaaN = doubt, rashk = envy ]

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

[ kufr = impiety, kaleesa = church/cathedral ]

aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

[ farebee = a fraud/cheat ]

KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

[ hijr = separation ]

hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

[ mauj_zan = exciting, qulzum = sea, KHooN = blood ]

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

[ jumbish = movement/vibration, saaGHar-o-meena = goblet ]

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

[ ham_pesha = of the same profession, ham_masharb = of the
same habits/a fellow boozer, ham_raaz = confidant ]


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 9:53 am


Ghazal

Ye na thi hamaari qismat k visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yehi intazaar hota

Tere wa'de par jiye ham to ye jaan jhooT jaana
K khushi se mar na jaate agar aaitbaar hota

Teri naazuki se jaana k baNdha tha ehed booda
Kabhi tu na toR sakta agar ustavaar hota

Koi mere dil se poocHe tere teer-e-neem-kash ko
Ye khalish kahaN se hoti jo jigar k paar hota

Ye kahaN ki dosti hai k bane hain dost naaseh
Koi chaarah-saaz hota koi gham-gusaar hota

Rag-e-sang se Tapakta wo lahu k phir na thamta
Jise gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota

Gham agar-cheh jaaN-gusal hai pe bachein kahaN k dil hai
Gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgaar hota

KahuN kis se main k kya hai shab-e-gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marna agar eik baar hota

Huey mar k ham jo ruswa huey kiyuN na gharq-e-darya
Na kabhi janaazah uThta na kahiN mazaar hota

Usey kaun dekh sakta k yagaana hai wo yakta
Jo doi ki bu bhi hoti to kahiN do-chaar hota

Ye masaail-e-tasavvuf, ye tera bayaan Ghaalib
Tujhe ham walee samajhte jo na baadah-khwaar hota

rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 9:56 am


Hai bus keh har ik un keh isharay maiN nishaN aur
Kartay haiN mohabbat to guzarta hay gumaaN aur

Ya rab, woh na samjhay haiN na sumjhaiN gay meree baat
Day aur dil un ko jo na day mujh ko zubaaN aur

Abroo say hai kya us nigahay naaz ko paywand
Hai teer muqarrar, magar us kee hai kamaN aur

Tum sheher main ho to, humain kya ghum jab uthain gay
Lay aeyn gay bazar say ja kar dil-o-jaaN aur

Har chand subak dast hooay butshikani maiN
Hum hain to abhee rah maiN hay sang-e-giraN aur

Hay khoon-e-jigar josh maiN dil khol keh rota
Hotay jo kaee deeda-e-khooN naabah_fishaN aur

Marta hoon is awaz peh har chand sir ur jaaey
Jillaad ko laikin woh kahay jaaen keh "HaaN aur"

Logon ko hay khursheed-e-jahaN taab ka dhoka
Har roz dikhata hooN main ik daagh-e-nihaN aur

Layta, na agar dil tumhain deta, koee dum chaen
Karta, jo na marta koee din, aaho-o-fuGHaN aur

Paatay nahiN jab rah to chaRh jaatay haiN naalay
Ruktee hai meri taba' to hotee hay rawaN aur

HaiN aur bhee dunya maiN sukhanvar bohot achhay
Kehtay hain keh 'Ghalib' ka andaaz-e-bayaN aur


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 9:59 am


1. diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ?
huwa raqeeb to ho, naamaabar hai, kya kahiye

2. yeh zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ?

3. rahe haiN yoN gah-o-be_gah ki koo-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ?

4. zah-e-karishma ki yoN de rakhaa hai hamko fareb
ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye ?

5. samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal
ki yeh kahe ki sar-e-rehguzar hai, kya kahiye ?

6. tumhaiN naheeN hai sar-e-rishtaa-e-wafa ka KHayaal
hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ?

7. unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ?
hame jawaab se qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ?

8. hasad sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje
sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ?

9. kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin
siwaay iske ki aashuftaa_sar hai kya kahiye ?


rose2
Back to top Go down
Rabia

Rabia


Number of posts : 2152
Age : 35
Location : Jahan Bee Rehoun Bass Apke Dil Main Rahoun
Registration date : 2008-10-22

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 10:21 am

niceji

rose3
Back to top Go down
http://www.QasRab.com
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeWed Nov 05, 2008 8:50 am

shukriya

rose2
Back to top Go down
Rabia

Rabia


Number of posts : 2152
Age : 35
Location : Jahan Bee Rehoun Bass Apke Dil Main Rahoun
Registration date : 2008-10-22

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeWed Nov 05, 2008 8:51 am

urwelcome

rose3
Back to top Go down
http://www.QasRab.com
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeTue Nov 11, 2008 9:56 am

rose1

rose2
Back to top Go down
Rabia

Rabia


Number of posts : 2152
Age : 35
Location : Jahan Bee Rehoun Bass Apke Dil Main Rahoun
Registration date : 2008-10-22

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeFri Nov 14, 2008 8:41 am

rose2
Back to top Go down
http://www.QasRab.com
sajal

sajal


Number of posts : 46
Location : SAB KI DUAON MEIN
Registration date : 2010-04-17

Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitimeSun Apr 18, 2010 5:08 am

VERY NICE
Back to top Go down
Sponsored content





Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Empty
PostSubject: Re: Mirza Ghalib - Shayari - --- -----   Mirza Ghalib  -   Shayari - --- ----- Icon_minitime

Back to top Go down
 
Mirza Ghalib - Shayari - --- -----
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Love Shayari...
» Dosti Shayari...
» Sharab Shayari...
» Old Fazool Shayari
» FARAZ shayari...

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
Dil Ki Mehfil :: Anmol Shayari :: Anmol Shayars - Famous Urdu Poets --
Jump to: