Dil Ki Mehfil
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Dil Ki Mehfil

Dil Ki Mehfil - Online Shayari
 
HomeHome  SearchSearch  Latest imagesLatest images  RegisterRegister  Log inLog in  

 

 Amjad Islam Amjad - - Shayari

Go down 
4 posters
Go to page : 1, 2, 3  Next
AuthorMessage
Admin
Admin
Admin



Number of posts : 17
Age : 34
Registration date : 2008-09-12

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Sep 14, 2008 7:37 pm

Amjad Islam Amjad - - Shayari
Back to top Go down
http://www.dilkimehfil.com
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeFri Oct 31, 2008 4:48 pm


Mohabbat Tor Sakti Hai


Koi Zanjeer Ho Usko Muhabbat Torr sakti hai
Jidhar Chahe ye Bagein Zindagi ki Morr Sakti hai

Muhabbat Roak Sakti hai Kisi Girtey Sitarey Ko
Kisi Jaltey Shararey Ko , Fana Kay Shuaarey ko

Ye Chalna Choor Aaenay Ki krichein Jorr Sakti hai
Koi Zanjeer Ho, usko Muhabbat Torr sakti hai

Muhabbat Per kisi bhi Rasm ka Pehra nahin chalta
Kisi Aamr ,Kisi Sultan ka Sikka nahin Chalta

Ye her Zandaan Ki Aandhi Salakhein Torr sakti hai
Koi Zanjeer Ho Usko Muhabbat Torr Sakti hai

Ye Jab chahe Kisi Bhi khwab ki Tabeer Mil Jaye
Kisi Rastey mein Raasta Poochti ,Taqdeer Mil jaye

Samey kay Taiz Dharoon ko Ye pichey Chorr Sakti hai
Koi Zanjeer Ho , Uss ko Muhabbat Torr Sakti hai

rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeFri Oct 31, 2008 4:51 pm


Apnay ghar ki khirkee se main aasman ko dekhon ga
jis par tera naam likha hai , us taray ko dhoondon ga

tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dehleez pe rakhna
main bhi roz aik khwab tumharay shehar ki janib bhaijon ga

hijr k darya main parhna lehron ki tehreerien bhi
pani ki har satar pe main kuch dil ki baatien likhon ga

jis tanha se payre k neechay hum barish mein bheegay thay
tum bhi usko chhoo k guzarna, main bhi us se liptoon ga

khwab musafir lamhon k hain , saath kahan tak jaien gay
tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochon ga.


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:14 am


Kahan aakey Ruknay thaay Rastey,Kahan Morr thaa usey Bhool Ja
Vo jo Mil Gaya usey Yaad rakh,Jo nahin mila ,Usey Bhool Ja

Vo Teray Naseeb ki Baarishein kisi Aur chatt pay baras gaein
Dil-e-Bekhabar meri baat Suun,Usey bhool ja ,Usey bhool ja

Mein tou Guum thaa teray he Dihan mein,Teri Aas Teray Guman mein
Saba keh gaye hai Meray Kaan mein,Meray Pass aa usey bhool ja

Kisi aankh mein nahin Ashke gham,Teray baad bhi nahin hai Kamm
Tujhay Zindagi nay Bhula Diya,Tu muskura Usey bhool ja

Na Vo Aankh he teri aankh thee,Na Vo khwab he tera khwab thaa
Dil Muntazir hai tu kis liye Tera jaagna ,Usey bhool ja

Ye Jo Raat Din ka hai Khail sa,Usey daikh kay Uus pay yakeen na ker
Nahin Aks koi bhi Mustakil Sarr-e-Aaena usey bhool ja

Vo Jo Bisat-e-Jaan he ulat gaya ,Vo jo raastey say Palat Gaya
Usey rokney say husuul kiya ,Usey matt Bhula usey Bhool ja


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:18 am


Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya

Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya

Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya

Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya...


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:20 am


yahi bahut hai ke dil us ko Dhoondh laya hai
kisi ke saath sahi vo nazar tu aya hai

karoon shikayatien takta rahoon ke pyar karoon
gaye bahar ki soorrat vo laut aya hai

woh samney tha magar ye yaqeen na ata tha
woh app hai ke meri Khahishoon ka saya hai

azab hein ke kaisey hein barishein kya hein
faseel-jism giri jub tu hosh aya hai

main kya karoon gan agar woh na mil saka 'Amjad'
abhi abhi mere dil mein Khayal aya hai


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:21 am


Bheer mein aik ajnabi ka saamna achcha laga
sab se chhup kar woh kisi ka dekhna achcha laga

surmaee aankhon k neechay phool se khilnay lagay
kehtay kehtay kisi ka sochna achcha laga

baat to kuch bhi nahi thi lekin uska aik dumm
haath ko honton pe rakh kar rokna achcha laga

chaaye mein cheeni milana us gharee bhaaya buhat
zer-e-lub woh muskurata "Shukriya" achcha laga

dil mein kitnay ehad bandhay thay bhulanay k usay
woh mila to sab iraday torna achcha laga

us adoye jaan ko Amjad main bura kaisay kahon
jab bhi aya samnay woh bay wafa achcha laga


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:32 am


hajoom e gum se jis dum admi ghabrah sa jata hai
to iase main
use apni awaz per qabbo nahi rehta
wo itne zor se feryaad kerta,chhekhta or bilbalata hai
keh jaise wo zameen per or khuda ho asmaanon per
magaer aisa bhi hota hai
keh us ki cheekh ki awaaz rukne se pehle hi
khuda kuch is qadar nazdeeq se or is qadar
rehmat bhari muskaan se us ko thapakta hai
or is ki baat sunta hai
keh feryadi ko apni cheekh ki shidat or
sada ki bechaine per nadamat hone lagti hai


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:34 am


Din raat kay anay janay mein
dunya kay ajaib khanay mein
kabhi sheshay dhundle hote hain kabhi manzar saaf nahi hote
kabhi suraj baat nahi kerta
kabhi taray aankh badalte hain
kabhi manzil pechay rehti hai
kabhi aasein tor nahi charhtein
kabhi khoshay pure hote hain
kabhi aankhein dekh nahi saktein
kabhi khwab adhoore hote hain
yeh sab to sahi hai lekin
aashob kay manzar khanay mein
dunya kay ajaib khanay mein
kuch saya kerti aankhon kay pemaan to dikhai dete hain
hathon say agarchay dur sahi imkaan to dikhai dete hain
haan ret kay us darya kay paar
ik peron wali basti kay unwaan to dikhai dete hain
manzil say koson dur sahi
pur dard sahi ranjoor sahi
zakhmon say musafir choor sahi
per kis say kahein aay jaan-e-wafa
kuch aisay ghao bhi hote hain jinhein zakhmi aap nahi dhote
bin roye huay aansoo ki terha senay mein chupa ker rakhte hain
or sari umr nahi rote
neendein bhi muhaya hoti hain, sapne bhi dur nahi hote
ab kis say kahein aay jaan-e-wafa
yeh ahl-e-wafa
kis aag mein jalte rehte hain
kyun bujh ker rakh nahi hote...!!


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:39 am

JAISAY MERI NAZAM KI LERKI...

woh chanchal albeli lerki meri nazmain yun perhti hai
jaisay un nazmon ka mehwar
us ki apni zaat nahi hai,
(yani itni sundar lerki aur koi bhi ho sakti hai!)
jaisay us ko ilm nahi hai yeh sari batain ,us ki hain
sari ghaatain us ki hain
her aahat hai us ki aahat, sab saaye hain us kay saaye
sarey mehmal us k hain
her khushbu hai us ki khushbu, sab chehray hain us kay chehray
saarey aanchal us kay hain
jaisay us ko ilm nahi hai us lerki kay saarey kaam
saarey naam usi kay hain
her khirki hai us ki khirki, sarey baam usi kay hain
us lerki kay naam say jo kuch main nay apnay naam likha hai
us say hi mansoob hua hai
(shayed mera waham ho lekin main nay yeh mehsoos kia hai)
jab main nazam sunaata hoon woh aankh churaney lagti hai
mujh say nazrain mil jaayen to wo shermaney lagti hai
kuch lamhay woh chanchal lerki gum sum si ho jati hai
lekin thori der main phir say pather ki hojati hai
jaisay meri nazam ki lerki!!


rose2
Back to top Go down
Rabia

Rabia


Number of posts : 2152
Age : 35
Location : Jahan Bee Rehoun Bass Apke Dil Main Rahoun
Registration date : 2008-10-22

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSat Nov 01, 2008 6:59 am

niceji

rose3
Back to top Go down
http://www.QasRab.com
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 3:36 am

shukriya

rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 3:40 am


Aisi Hee Sard Sham Thi Wo B
Jab Wo Mehndi Rachae hathon Main
Apni Aahat K Khaofm Se Larzan
Surakh Aanchal Main Munh Chhupae Hue
Khat Apne Mujh Se Lene Aai Thi
Us Ki Sehmi Hui Nigahon Main
Kitni Khamosh Iltajaen Theen
Us K Chehare Ki Zard Rangat Main
Kitni Majbooriyon K Sae The
Mere Hathon Se Khat Pakarte Hee
Jane Kya Soch K Achanak Wo
Mera Kandha Pakar K Roi Thi
Us K Yaqoot Rang Honton K
kapkapate Kinaron Par
Sabt An Kahe Zamane The
Senkaron An Kahe Fasane The
Sard Shamon Main Aaj B Aksar
Us Ki Rukhsti Ka Manzar
Meri Aankhon Main Jhilmilata He
Bus Ik Lamha Zayai Hathon Se
Mujh Ko Apni Tarf Bulata He
Aisi Hee Sard Sham Thi Wo B
Jab Wo Mehndi Rachae Hathon Main


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 3:55 am


terii zad se nikalanaa chaahataa hai
ye dariyaa ruKh badalanaa chaahataa hai

[zad = target/range]

vo sapanaa jis kii suurat hii nahii.n hai
merii aa.Nkho.n me.n chalanaa chaahataa hai

dilo.n kii maa.Ndagii pe kyaa ta'ajjub
ki suuraj bhii to Dhalanaa chaahataa hai

[maa.Ndagii = dimmed/faded/dulled' ta'ajjub = amazement]

nashist-e-dard badalii hai to ab dil
zaraa pahaluu badalanaa chaahataa hai

[nashist-e-dard = place where it hurts]

mujhe bhii saamanaa hai karbalaa kaa
meraa sar bhii uchhalanaa chaahataa hai

nahii.n hai tarjumaan-e-Gam ye aa.Nsuu
ye paanii ab ubalanaa chaahataa hai

[tarjumaan-e-Gam = translation (representative) of sorrow]

tabassum zer-e-lab kahataa hai 'Amjad'
ko_ii jazbaa machalanaa chaahataa hai

[tabassum = smile; zer-e-lab = beneath the lips (hidden)]
[jazbaa = emotion]


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 3:58 am


Khud apane liye baiTh ke soche.nge kisii din
yuu.N hai ki tujhe bhuul ke dekhe.nge kisii din

bhaTake hue phirate hai.n ka_ii lafz jo dil me.n
duniyaa ne diyaa vaqt to likkhe.nge kisii din

hil jaaye.nge ik baar to arsho.n ke dar-o-baam
ye Khaak_nashii.n log jo bole.nge kisii din

aapas kii kisii baat kaa milataa hii nahii.n vaqt
har baat ye kahate hai.n ke baiThe.nge kisii din

ai jaan terii yaad ke be-naam parinde
shaaKho.n pe mere dard kii utare.nge kisii din

jaatii hai kisii jhiil kii gaharaa_ii kahaa.N tak
aa.nkho.n me.n terii Duub ke dekhe.nge kisii din

Khushbuu se bharii shaam me.n jugnuu ke qalam se
ik nazm tere vaaste likkhe.nge kisii din

soye.nge terii aa.Nkh kii Khlvat me.n kisii raat
saaye me.n terii zulf ke jaage.nge kisii din

Khushbuu kii tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa se
galiyo.n se tere shahar kii guzare.nge kisii din

'Amjad' hai yahii ab ke kafan baa.Ndh ke sar se
us shahar-e-sitam_gaar me.n jaaye.nge kisii din


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 4:04 am

bheed main ik ajnabi ka samna achha laga
sub se chhup ker wo kisi ka dekhhna achha laga
dil main kitne ehd bande thhe bhulane k usse
wo mila to sub irade todrna achha laga
uss adooye jan ko amjed main bura kaise kahoon
jub b aaya samne wo be wafa achha laga


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 4:32 am

Abhi to rutt badalni thi , abhi to phool khilne thay
Abhoi to raat dhelni thi , abhi to zakhm silne thay

Abhi to sir-zameen-e-jaan pe ik baadil ko ghirna tha
Abhi to wasl ki barish main nang-e-paaon phirna tha

Abhi to kisht-e-ghum main ik khushi ka khwab bona tha
Abhi to sainkaron sochi huee baaton ko hona tha

Abhi to saahilon per ik hawa-e-shaad chalni thi
Abhi jo chal rahi hai , ye to kuch din baad chalni thi


rose2


Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 4:34 am


khwaaboN ki dekh-bhaal meN aaNkheN ujaR gayii
tanhaa`iiyoN ki dhuup ne chehraa jalaa diyaa

lafzoN ke joRne meN ibaadat bikhar chalii
aa`iine DhuuNDne meN ka`ii aks kho gaye
aaye na phir wo lauT ke ik baar jo gaye

wo din, wo waqt,rut wo, wo mausam wo sar khushii
ai gardish-e-Hayaat, ay raftaar-e-maah-o-saal!
kyaa jamm`a is zameen pe hogay na phir kabhii?
jo hamsafar firaaq ki dal-dal meN kho gaye
patte jo gir ke peR se, rastoN meN kho gaye

kyaa phir kabhi na lauT ke aayegi wo bahaar
kyaa phir kabhi na aaNkh meN utaregi wo dhanak
jis ke vafoor-e-raNg se
jhalkii hu`ii hawaa.. kartii hai aaj tak
ik zulf meN sajay huve phuloN kaa intezaar!

lamhe zameen-e-hijr ke phailay kuChh iss tarah
reg-e-ravaan-e-dasht ki (tamsheel ?tamsheed?) ho gayii

iss dasht par saraab meN bhaTke haiN iss qadar
naqsh-e-qadam thay jitne bhi, paa-maal ho gaye
ab tau kahiiN pe khatm ho rastaa gumaan kaa
sheeshe meN dil ke saare yaqeeN baal ho gaye

jis waaqiye ne aaNkh se Cheenii thi meri neeNd
uss waaqiye ko ab tau... ka`ii saal ho gaye !!


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 4:37 am

jo baat nahi kartey
un booltey rangooN maiN
maiNey tumhey socha hai!
jo dil sey guzertey haiN
un ajnabi rastooN maiN
maiNey tumhey dekha hai!

kahney key ley tum sey,
baatieN tu bohat si haiN
alfaz nahi miltey!
jo meri nazar maiN haiN
is saher key bagooN maiN
woh phool nahi kihltey!

maiNey tumhey jana hai
azhar key rishtooN sey
jis tarha koii bandha
darhti par nazar daley
ek baar khuda ho key!


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 4:40 am


iss subh-e-zindagii se sanaashaa nahiiN huuN maiN
lagataa yehii hai niiNd se jaagaa nahiiN huuN maiN

ik harf-e-raaygaaN sahii, yaaro, mira vajuud
kaise kahuuN Kitaab kaa hissaa nahiiN huuN maiN

darpesh subh-o-shaam hai, ye kaisii kash-ma-kash
kaise banuuN maiN uss kaa, k apnaa nahiiN huuN maiN

mujh ko fareeshtaa hone kaa d`aavaa nahiiN, magar
jitnaa buraa samajhte ho, utnaa nahiiN huuN maiN

is tarah pher-pher ke baateN na kiijiye
lehjay kaa rukh samajhtaa huuN, bachchaa nahiiN huuN maiN

dekhii hu`ii si lagtii hai, har reh-guzaar kyuuN
inn bastiyoN se pehle tau guzraa nahiiN huuN maiN


rose2


Last edited by ikra on Sun Nov 02, 2008 4:45 am; edited 1 time in total
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 4:42 am


laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahlay
diloN ke deep jaltay hain charagh-e sham se pahlay

kabhi manzar badalnay par bhi qisa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjam se pahlay

yahi taray tumhari ankh ki chilmaN maiN rehtay thay
yahi suraj nikalta tha tumharay bam se pahlay

diloN ki jagmagati bastiyaN taraj kartay hain
yahi jo log lagtay hain nahiyat aam se pahlay

hoye hai sham jungle main piranday loa'tay hooN gaye
ab in ko kis tarah rokaiN nawah-e dam se pahlay

ya saray rang murda thay tumhari shakal bannay tak
ya saray harf mohmal thay tumharay naam se pahlay

howa hai wo agar munsaf tu Amjad ihtiyataN ham
saza tasleem kartay hain kisi ilzam se pahlay


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 4:44 am


kahaa.N aake rukane the raaste kahaa.N mo.D thaa use bhuul jaa


kahaa.N aake rukane the raaste kahaa.N mo.D thaa use bhuul jaa
vo jo mil gayaa use yaad rakh jo nahii.n milaa use bhuul jaa

vo tere nasiib kii baariishe.n kisii aur chhat pe baras ga_ii
dil-e-beKhabar merii baat sun use bhuul jaa use bhuul jaa

mai.n to gum thaa tere hii dhyaan me.n terii aas me.n tere gumaan me.n
havaa kah ga_ii mere kaan me.n mere saath aa use bhuul jaa

tujhe chaa.Nd ban ke milaa thaa jo tere saahilo.n pe khilaa thaa jo
vo thaa ek dariyaa visaal kaa so utar gayaa use bhuul jaa


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 4:49 am


Khud apane liye baiTh ke soche.nge kisii din


Khud apane liye baiTh ke soche.nge kisii din
yuu.N hai ki tujhe bhuul ke dekhe.nge kisii din

bhaTake hue phirate hai.n ka_ii lafz jo dil me.n
duniyaa ne diyaa vaqt to likkhe.nge kisii din

hil jaaye.nge ik baar to arsho.n ke dar-o-baam
ye Khaak_nashii.n log jo bole.nge kisii din

aapas kii kisii baat kaa milataa hii nahii.n vaqt
har baat ye kahate hai.n ke baiThe.nge kisii din

ai jaan terii yaad ke be-naam parinde
shaaKho.n pe mere dard kii utare.nge kisii din

jaatii hai kisii jhiil kii gaharaa_ii kahaa.N tak
aa.nkho.n me.n terii Duub ke dekhe.nge kisii din

Khushbuu se bharii shaam me.n jugnuu ke qalam se
ik nazm tere vaaste likkhe.nge kisii din

soye.nge terii aa.Nkh kii Khlvat me.n kisii raat
saaye me.n terii zulf ke jaage.nge kisii din

Khushbuu kii tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa se
galiyo.n se tere shahar kii guzare.nge kisii din

'Amjad' hai yahii ab ke kafan baa.Ndh ke sar se
us shahar-e-sitam_gaar me.n jaaye.nge kisii din


rose2
Back to top Go down
ikra

ikra


Number of posts : 1950
Registration date : 2008-09-14

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 4:52 am


dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai
itanaa besimt na chal lauT ke ghar jaanaa hai

us tak aatii hai to har chiiz Thahar jaatii hai
jaise paanaa hii use asl me.n mar jaanaa hai

bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaa_ii kyaa hai
dil ko rukanaa hai ki taaro.n me.n Thahar jaanaa hai

kaun ubharate hue mahataab kaa rastaa roke
us ko har taur suu-e-dasht-e-sahar jaanaa hai

mai.n khilaa huu.N to isii Khaak me.n milanaa hai mujhe
vo to Khushbuu hai use agale nagar jaanaa hai

vo tere husn kaa jaaduu ho ke meraa Gam-e-dil
har musaafir ko isii ghaaT utar jaanaa hai


rose2
Back to top Go down
Rabia

Rabia


Number of posts : 2152
Age : 35
Location : Jahan Bee Rehoun Bass Apke Dil Main Rahoun
Registration date : 2008-10-22

Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitimeSun Nov 02, 2008 6:20 am

wahjiwah

zabardast

rose3
Back to top Go down
http://www.QasRab.com
Sponsored content





Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Empty
PostSubject: Re: Amjad Islam Amjad - - Shayari   Amjad Islam Amjad  -  -   Shayari Icon_minitime

Back to top Go down
 
Amjad Islam Amjad - - Shayari
Back to top 
Page 1 of 3Go to page : 1, 2, 3  Next
 Similar topics
-
» Old Fazool Shayari
» FARAZ shayari...
» Dedicate Your Shayari To Some One
» Dosti shayari
» Love Shayari...

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
Dil Ki Mehfil :: Anmol Shayari :: Anmol Shayars - Famous Urdu Poets --
Jump to: